03

Chapter - 3

Authors pov,

Ishani maira ka gala lakar congratulations kheti ha .

Maira stage par jati ha or dekhti ha vaha Avyansh nahi tha .Maira apna award lakar aah jati ha , phir event ke host best dancer or  Miss freshers ka award ke liye Ishani ka naam lati Hain .

Aur tabhi entry Hoti hai Avyansh Singh Oberoi ki Ishani stage per jaati hai , par humare chhoti aur cute se Ishani . Usa kaha jata hai ki yah award dena ke liye hum bulate Hain hamare chief guest ko Mr.Avyansh Singh Oberoi .Hamari Ishani ko devil urf (Avyansh) ke bare mein kuchh pata hi nahin hai isliye vah Khushi se stage per jaati hai aur apne chote - chote kadmon se Avyansh ki taraf badhati hai . Vah thodi khushi aur thodi nervous bhi thi . Jaise hi Avyansh award Ishani ko dena ka liya aage karta hai aur apni bold awaaz mein kehta hai congratulations Miss sharma.

Tabhi Avyansh ki awaaz sunkar Ishani thodi ghabra jaati hai aur muskura kar award le leti hai .Tabhi Avyansh ke hath ki ungali Ishani ke hath ko touch Karti hai toh Ishani ke Dil ki Dhadkan badhane lagti hai aur vah Avyansh se thank u kehati hai . Aur vahan se Chali jaati hai Ishani ne apni itni pyari si awaaz mein thank u kaha tha ki Avyansh ki Aankhen anayas hi band Hogayi thi .

Award  distribution ke baad sabhi Apne Ghar ke liye jaane lagte Hain . Maira Apne Ghar aur Ishani Apne hostel room jaane lagti hai . Tabhi unke paas ek ladki aakar ,"Happy Holiday's," guys kehta hua unhen wish karti hai, aur Chali jaati hai toh Maira Ko yaad aata hai ki unki holiday start hone wali hai two weeks ki Aur Ishani Apne Ghar Nahin ja sakti hai . Ishani ko akele hostel mein rehana hoga to vah Ishani se kehati hai, " Ishu tu akele hostel mein kya karegi tu ek kaam kar mere sath mere Ghar chal mein Apne mom , dad aur sabhi gharwalon se mila aungi aur hum enjoy vi karenga .

Ishani kehati hai ,"Nahi main nahi ja sakti Hun main , toh Maira  kehti hai "par Kyun" ?

Toh Ishani batati hai ki vah apne bhai ke permission ke Bina Nahin ja sakti hai ," Tabhi Maira kehati hai"  Baas itni si baat, tu tension mat le main Kartik bhai se abhi baat kar leti hun, phir Maira Kartik ko call Karti hai.

Sharma mansion

Vahi Ek mention jo ki kisi Mahal se Kam Nahin tha usmein bohot shanti thi . (To guys aapko ek baat batao ki is Ghar ki Ashanti matlab hamari Ishani Sharma jo ki abhi ghar mein nahin hai isliye Shanti hai) 🤭 yeh Sharma mention tha, voh bahut hi bada aur Sundar ha .

Sharma mansion's living room

Sharma mention ki living room mein do aadami ek aurat thi do aadami ek sofe per the aur unke samne wale sofe per Ek aurat thi ,toh dusre wale pahle wale aadami se kahta hai Nana ji aapane apni medicine Kha li . Yah donon aadami aur ek aurat aur koi nahin hamare (Ishani ke Nana ji aur unki dharmpatni Geeta ji aur unke grandson Kartik tha) . Vah log baat kar hi rahe the ki tabhi Kartik ko call aati hai , toh jab vah caller ID dekhta hai to uske face per smile ajati hai .

Nani ji - jaldi se poochh leti hai Kaun hai hamari ishi ka phone hai kya .

Kartik -nahi hamari dusri behan ka call hai (yeh aur koi nahin Maira hai) kehta hai .

Kartik -call receive karta hai aur kahta hai "hello".

Maira -hello bhai kaise hain aap nana ji aur nani ji .

Kartik -main achcha hun Nana ji Nani yah sabhi yahan accha ha Ap batao Aaj kaise yad agayi Bhai ki .

Maira - bhai kyu main aapko yaad nahin kar sakti , ya call nahin kar sakti hun sirf ishi  kar sakti hai .

Kartik -Maine kab kaha Aisa mere liye toh aap aur ishi donon Ek barabar ha maine kabhi aap mein aur ishi mein koi fark ki hai.

Maira - Accha ab koi emotional drama Nahin bas maine aapse permission lene ke liye call kiya hai .

Kartik - Han Han boliye Rajkumari ji .

Maira - ji jarur , bhai pahli baat aapko pata hi hai ki aaj hamare college mein fresher party thi 🥳or Maine aur ishi ne bhi participate kiya tha .

Kartik - Han mujhe pata hai , kuchh hua hai kya party mein bolna kuchh hua hai kya mujhe ghabrahat ho rahi hai .

Maira - Bhai Bhai relax aap jaisa soch rahe hain vaisa kuchh Nahin hua hai .Vah toh maine act mein participate kiya tha to mujhe best act ke liye award mila hai . Or ishi ko bhi best dance aur miss freshers ka award mila hai 👑.

Kartik - oh achha apna toh mujhe Dara hi diya tha .

Maira - Achcha bhai aapko toh pata hai ki kal se humare two weeks ka holiday start ho raha hai aur ishi ghar mein ja nahi sakti hai toh maine use bola ki tu akele hostel mein kya karegi mere sath mere Ghar chal toh usne mana kar diya aur bole ki bhai ke permission ke Bina kahin Nahin jaaungi toh ab app usko boliya na ki mere sath mere Ghar chale aap tension mat lijiye main iski care karungi please 🥺 request bhai .

Nana ji - jana doh kartik theek hi toh keh rahi hai Maira beti voh akele kya hi karengi.

Nani ji - NanaJi ka sath dete hue kaha han voh akele Bor hogi aur agar vah Maira  ke sath jaati hai toh vahan uske sath enjoy kar legi jaane do .

Kartik - theek hai le jao aur han jyada shaitani mat Karna kyunki Jahan Tum donon hoti Ho vahan kuchh Na kuchh to hota hi hai to sambhal kar .

Bas kya tha kartik ke permission dete hi donon Khush hogai .

Maira -  Ha Bhai main apna aur Ishani ka khyal rakhungi aur koi shaitani Nahin karenge hum theek hai "okay bye ".

Ab maira aur ishi donon Oberoi mention ke liye nikal jaati hai aur Kartik se baat karne ke baad maira apni mom ko call karke Bata diya tha ki voh ishani ko Apne sath Ghar la rahi hai.

Oberoi mansion

Vahi Oberoi mention mein joh kisi Mahal se Kam Nahin tha usmein bahut chahal pahal thi. Jo bahut bada aur Sundar tha, jitna Sundar vah villa bahar se tha usse jyada vah andar se tha.

Jab Maira aur Ishani  ki car Oberoi mention ki main gate ke pass gadi rukti hai to guard jaldi se Aakar gate open karte hain tabhi gadi gate ke andar enter Karti hai . Fir guards Aakar maira  aur Ishani ke liye gadi ka Door open karte hain aur vah donon bahar a jaati hai.

Maira Ishani ka hath pakad kar mansion ki aur Chal deti hai tabhi kisi ki rowbdar awaaz aati hai," vahi ruk jao".

Ya lines maira or Ishani ki friendship ka liya,

Jab duniya ne samjha nahi, toh usne sirf suna,

Har aansu ko bina kahe hi usne chhuna.

Dosti ka matlab bas saath hona nahi,

Kabhi-kabhi khamoshi mein bhi sambhal lena hota hai.

-kiara 🎀

Write a comment ...

Palak Sharma

Show your support

Show your support if you like my work

Write a comment ...